Pages

Thursday, 7 January 2016

Contd....

MUKAASHAFATUL QULOOB

BAAB  63

Part  4

HAZRAT NABI E KAREEM ﷺ se marwi hai , AAPNE farmaya beshak tum mein se baaz woh hai jo namaaz padhte hai magar unki namaaz mein se tihaayi yaa chauthaayi yaa paanchwa yaa chatta hissa yahaan tak ke AAPNE daswein hisse tak gina aur farmaya sawaab likha jaata hai yaani namaaz mein se usi hissa ka sawaab milta hai jisko woh mukammal  yaksui aur tawajjoh se padhta hai.
HUZOOR ﷺ se marwi hai, AAPNE farmaya jis shakhs ne ALLAH TA'ALA ki taraf mutawajjah hokar mukammal yaksui se do rakaat namaaz adaa ki woh gunaahon se us din ki tarah paak ho gaya jis din ke uski maa ne usey janaa tha.

To be contd....

No comments:

Post a Comment